Mai Tujhse Pyaar Nahi Karta Songs Lyrics - BABY
Main tujhse pyaar nahi karta
Main tujhse pyaar nahi karta
Par koi aisi shaam nahi
Jab main apni tanhaayi mein
Tera intezaar nahi karta
Main tujh se pyaar nahin kartaa
Dil se ye kehta rehta hoon
Par teri saanson mein chhup ke
Main saansein leta rehta hoon
Is se inkaar nahi karta
Main tujhse pyaar nahin karta
Mujhe kuch bhi yaad nahi rehta
Kab din dooba, kab raat hui
Abhi kal ki baat hai
Pehron tak meri deewaaron se baat hui
Jo hosh zaraa sa baaki hai
Lagta hai khone waala hoon
Afwaah udi hai yaaron mein
Main paagal hone waala hoon
Main tujhse pyaar nahi karta
Main tujhse pyaar nahi karta
Main tujhse pyaar nahi karta
Par aisa koi din hai kya
Jab yaad tujhe, teri baaton ko
Sau-sau baar nahi karta
Sau-sau baar nahi karta
No comments:
Post a Comment